Juz 1 (Summary)

2y ago
23 Views
3 Downloads
1.05 MB
10 Pages
Last View : 9d ago
Last Download : 3m ago
Upload by : Aliana Wahl
Transcription

Juz 1 (Summary)

Dawrae QuranJUZ 1 Alif Laam Meem : Surah Al FatihaJuz 1- Alif Laam MeemAyaat – 7Ruku- 1 Surah 1MakkiSurah Fatiha Ayat 1-7Is Soorat Me Allah Ki Tareef Aur Hamd Ki Jaarahi HaiAllah Ki Sifaat Jinka Bayaan Hai Wo Hai Tamaam Jahano Ke Rab( Sustainer) Rehman ( Bahut Reham Karne Wale, Intensely Merciful) Raheem ( Baar Baar Reham Karne Wale, Continuosly Merciful) Qayamat Ke Din Ke Malik HaiDua Ki Jaa Rahi Hai Ke Ke Ham Sirf Aapki Ibadat Karte Hai Seedhe Raaste Ki Hidayat Dijiye Wo Rasta Jinpar Hidyat Hui (Ambiya, Siddiqeen, Shuhada, Saliheen) Na Unka Rasta Jinpar Ghazab Hua ( Yahoodi Aur Doosre Log) Na Unka Rasta Jo Bhatke Hue Hai ( Isayi Aur Doosre Log)Ayaat – 286Ruku- 39 Surah- Al FatihaSurah- BaqarahSurah 2Madani Ruku 1- Ayah 1-7 (In Ayaat Me Taqwa Wale Aur Kafiro Ka Zikr Hai)Quran Hidayat Hai Taqwa Karne Walo Ke Liye (Muttaqi Log)Taqwa -Allah Ki Mohabbat Me Nek Kaam Karne Wale Aur Allah Ke Dar Se Bure Kaam ChodneWale Muttaqiyo Ki Sifaat Jo Hidayat Par Hai Aur Kamyaab Hai Ghaib Par Iman Namaz Qayam Karna Allah Ne Jo Diya Usme Se Kharch Karte Hai Quran Par Iman , Pichli Kitabo Par Iman Akhirat Par ImanKaafiro Ko Samjhane Par Bhi Samajh Nahi Ayega Kyu Ke Unke Dilo Par Mohar Hai Kaano ParBhi Aur Ankho Par Parda Hai Aur Wo Bade Azaab Me Hai Ruku 2- Ayah 7-20 (In Ayat Me Munafiqeen Ka Zikr Hai)Munafiqeen Ki Sifaat Sirf Zaban Se Iman Dhokha Shaoor Ka Na Hona Dilo Me Munafaqat Ki Beemari Jhooth Islah Ke Naam Par Fasaad Iman Walo Ko Bewakoof Kehha Iman Walo Se Kehte Hai Ke Iman Laye, Lekin Kaafiro Se Kehte Unke Saath Hai Musalmano Ka Mazaakh KarnaUnko Dheel Di Gayi Hai , Aur Unhone Gumrahi Ko Choose / Prefer Kiya Hidayat Parwww.livequraneverymoment.orgPage 2

Jawahir Programme-Dawrae QuranJUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --KahfMisaalein Munafiqeen Ki1-Aitakaadi Munafiqeen- Muhammad S.A.W Ke Aane Se Pehle Shirk, Kufr Ke Andhero Me The.Jab Aap Aaye To Mahol Raushan Hua, Lekin Unke Andar Ka Jo Noor Hai Wo Bujh Gaya. (Haq Se)Goonge, Behre Aur Andhe Hai Aur Hidayat Ki Taraf Palatna Unka Mushkil Hai2.Amali Munafiqeen- Iman Ki Barish Ke Saath , Usme Azmayasho Ke Andhere, Bijli Aur KadakHoti Hai. Jab Koi Zaati Fayda Islam Me Dihkta To Iman Walo Ke Saath Ho Jaate, Jab Koi NuksaanDikhta Aage Nahi Badhte. Allah Chahe To Inki Dekhne Aur Sunne (Haq Aur Hidayat) Ki SalahiyatLe Le, Lekin Allah Ne Inko Mauka Diya Hai. Ruku 3- Ayaah 21-29Ayah 20-22 Rab Ki Ibadat Ki Dawat-Ibadat Se Taqwa Hasil Hota Hai (Ayah 20-22) Ibadat Ke Mayne Bahut wasi (Vast) HaiRab Kaun Hai? Jisne Hame Aur Hamare Pehle Ke Logo Ko Paida Kiya Zameen Ko Farsh Ki Tarah Spread Kiya Aasman Ko Chat Banaya Asman Se Barish Barsaya, Usse Nabataat Ki PaydawaarAyah 23-24Agar Quran Par Shak Hai Ki Ye Allah Ka Kalaam Hai To Sab Milkar Is jaisi Soorat Laao, Phir Ye BhiKaha Jaa Raha Hai Ki Ye Impossible Hai, Jab Fail Ho Jao To Jahannum Ki Aag Me Jalne Tayyar HoJao Kiska Indhan Aag Aur Pathar HaiAyah 24-25 - Jannat Ki Tasweer Ye Iman Aur Amal Karne Walo Ki Hai Isme Duniya Jaise Dikhne Me, Lekin Quality Me Bahut Aala Phal Honge Pure Spouse Hameshgi Ki ZindagiMatchar Ki Misaal (Ayah 26) Aisi Misaalo Se Fasiq ( Hado Ko Todne Wale) Bhatakte Hai Aur Iman Walo Ko Aur ZyadaHidayat Milti Hai. Fasiq Ki Sifaat, Jo Khasara Pane Wale Hai (Losers) (27) Allah Ke Ahad Todna Rishte Kaatna, Allah Se Talluq Na Rakhna Zameen Me Fasaad KarnaAyah 28 & 29-Ay Insaan Allah Ne Tumhe Paida Kiya, Wahi Maut Denge, Wahi Wapas Jaana HaiZameen Ke Sab Cheezo Ko Paida Kiya, 7 Asmaan Banaye, Us Allah Ka Inkar Kaise Kar Sakte Ho. Ruku 4-Ayaat 30-39Is Ruku Me Adam A.S Ka Waqeya Hai. Allah Ka Farishto Se Adam A.S Ke Taqleeq Ke Irade Ke Bare Me Kehna. Farishto Ka Jawaab Ke Jino Ke Baad Ek Aur Sarkash Mufsid Maqlooq Ki Taqleeq Kyu?AllahKa Jawab Ke Allah Wo Janhte Hai, Jo Farishte Nahi Jante, Yaane Insaan Ko Ilm Diya Jayega. Adam A.S Ko Ilm Diya Gaya, Aur Adam A.S Ne Saari Cheezo Ke Naam Durust Bataye, Farishto Ko Hukm Hua Ke Wo Adam A.S Ka Sajdah Kare , Iblees Ne Inkar Kiya Aur Kafir Hua. Adam A.S Aur Hazrat Hawa Ko Jannat Me Rakha Gaya Aur Kaha Gaya Ke Ek Darakht Ke PhalKe Paas Nahi Jaana. Shaytaan Ne Dono Ko Phisla Diya Aur Dono Ne Phal Khaa Liya.(Unko Ye Kehkar Uksaya KeYe Phal Khane Se Hameshgi Ki Zindagi Milegi) Unhe Jannat Se Nikal Diya Gaya, Zameen Par Wo Utre (Adam, Hawa Aur Iblees) Aur KahaGayawww.livequraneverymoment.orgPage 3

Jawahir Programme-Dawrae QuranJUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf Jin-Jin, Insan-Jin, Insan-Insan Apas Me Dushman Honge Allah Ki Hidayat (Rasool Aur Kitabo Ki Shakl Me) Jab Aye Uski Pairi Karne Wale Ke LiyeDuniya Me Koi Khauf Na Hoga Aur Na Akhirat Me Gham Hidayat Ke Inkariyo Ke Liye Jahannum Ki Aag Jisme Hamesha Rehna HaiAdam A.S Ki Dua Jab Unhone Tauba Kiُ َ ٓ َ ۡ َ َ َ َّ ََ ۡ َ َّ َ ُ َ َ َ ۡ َ ۡ َ َ َ َ ۡ ۡ َ ۡ َََََّٰ٢٣ ِسين ِ ِ ربنا ظلمنا أنفسنا ِإَون لم تغ ِفر َلا وترَحنا َلكونن مِن ٱلخ (Al Araaf -23)Ay Hamare Rab, Zulm Kiya Hamne, Apne Nafso Par, Aur Agar Nahi Tu Bakshega HamkoAur (Na)Reham Karega Hampar, Ham To Khasara Paane Walo Me Se Ho JayengeAyaat 40-124 Bani Israel Ka Zikr HaiBani Israel Kaun Hai? Bani Yaane Bete Israel Yakoob A.S Ka Laqab Hai Yakoob A.S Ibraheem A.S Ke Bete TheIbraheem (As)Is’haq (As) (Falasteen)Isma’eel (As) (Makkah)12 Bete Jinse 12 QaumYe 12 Beto Ki Naslo Ko Bani Israel Kehte Hai12 Me Se 1 Yusuf A.S Moosa A.S, Harun A.S Dawood A.S, Suleman A.S, Yahya A.S Zakariya A.S Etc Sab Bani IsraelMe Se Hi The Bani Israel Ka Asli Watan Falasteen Tha Yunus A.S Ko Unke Bhaiyo Ne Kuwe Me Pheka, Waha Se Wo Misr Lejaye Gaye, Jab Wo MisrMe Bada Mukaam Paaye, Apne Bhaiyo Ko Misr Bulaya, Is Tarah Bani Israel Falasteen SeMisr Gaye. Lambe Arse Tak Bani Israel Ka Misr Me Zor Raha, Lekin Dheere Dheere Wo Kamzor HueYaha Tak Ke Firaun Ne Unko Ghulaam Bana Liya Aur Unse Khoob Mehnat Karwata Aur ZulmKarta Firaun Unke Beto Ko Qatl Karta Kyu Ke Kaha Jaata Hai Ke Usne Khaab Me Dekha Ke BaniIsarel Ke Ek Ladke Ki Wajah Se Uski Saltanat Qatm Hogi.Isliye Bhi Qatl Karta Taake Unki Poppulation Zyada Na Badhe Moosa A.S Bani Israel Ki Aulaado Me Se The Lekin Allah Ne Unhe Bacha Liya Aur Firaun KeGhar Me Wo Parwarish Paaye Moosa A.S Ke Zariye Allah Ne Bani Israel Ko Firaun Ke Zulm Se Bachaya, Aur Firaun Aur UskeSaathiyo Ko Red Sea Me Gharkh Kardiya Firaun Ke Gharkh Hone Ke Baad, Bani Israel Ko Lekar Moosa A.S Sehraye Seena (SinayiDesert) Me Gaye. Waha Unhe Falateen Wapas Haasil Karne Ke Liye Jihad Ka Hukm Hua. Bani Israel Ne Jihad Se Inkar Kiya To Saza Ke Taur Par 40 Saal Sehraye Seena Me Hi Rahe Yahi Sehra Me Unpar Mann Aur Salwa Utarti, Baadalo Ka Saaya Hota Ur Paani Ke 12Chasme Phoote Yahi Par Kohe Toor Par Bula Kar Allah Ne Moosa A.S Ko Tauraat Ata Ki Jab Moosa A.S Tauraat Lene Gaye, Us Waqt Bani Israel Ne Bachde Ki Pooja Shuru Kardi. Yahi Moosa A.S Aur Harun A.S Ka Inteqaal Hua. Moosa A.S Ke Shagird Yoosha Bin Noon Ke Time Par Bani Israel Waapas Falasteen MeDaakhil Ho Paaye.www.livequraneverymoment.orgPage 4

Jawahir Programme-Dawrae QuranJUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf Ruku 5-Ayaat 40-46 Nemato Ko Yaad Dilaya Jaa Raha Hai Ke Kis Tarah Sehra Me Bhi Mann , Salwa, Badalo KaSaaya Etc Mila , Aur Bani Israel Me Bahut Saare Ambiya Bheje Gaye Ambiya- Jinpar Wahi Hoti Rasool – Jinpar Shariat Utarti Total Nabi-1 Lakh 24 000 Rasool – 300 Mentioned In Quran -24 Ayah 40-Bani Israel Se Wada-Ke Wo Akhri Nabi Ki Madad KarengeAllah Ka Wada – Duniya Me Bhalayi, Uruj, Ikhtedaar Aur Jannat Ayah 41-Tauraat Par Iman Laane Ka Hukm Aur Apne Fayde Ke Liye Taurat Ki Tehreef NaKarne Ka Hukm , Aur Thode Paiso Ke Liye Taurat Ke Ehkamaat Ko Galat Samjhana Aur GalatFatwe Naa Dena Ka Hukm Namaaz Qayam (Pahna, Waqt Par Padhna, Durust Tareeke Se Pahna) Etc Karna,Zakat AdaKarne Ka Hukm Logo Ko Neki Ka Hukm Dene Ke Saath Khud Bhi Amal Karne Ka Hukm Madad Maangne Ka Tareeka-Namaz Aur Sabr Namaz Sirf Khushu Karne Walo Par Bhari Nahi Khushu Karne Walo Ki Sifat Qayamat Ke Din Allah Se Milne, Hisaab Dene Par Yakeen Rakhte Hai Ruku 6 - Ayaat 47-59 Bani Israel Me Bahut Saare Ambiya- Ye Unki Fazeelat Bani Israel Ke Beto Ka Qatl, Ye Allah Ki Taraf Se Aazmayash Firaun Aur Uske Saathiyo Ka Gharkh Hona 40 Din Kohe Toor Par Jaakar Moosa A.S Ka Tauraat Lana Moosa A.S Ke Peeche Bachde Ki Pooja Bachde Ki Pooja Ke Baad Unki Maafi Kis Tarah Hui?3 Tarah Ke Log The1. Bachde Ki Pooja Karne Wale2. Khamosh Rehne Wale3. Pooja Se Rokne Wale Maafi Ke Liye Hukm Hua Ke (1) ka Qatl (3) Kare Kaha Jaata Hai Ke 70,000 Logo Ka Qatl Hua Bani Israel Ne Allah Ko Dekhne Ka Mutaalba(Demand) Kiya Wo Log Allah Ko Dekhne Ke Liye Pahad Par Gaye, Lekin Allah Ko Dekh Naa Paye Aur MarGaye. Allah Ne Phir Unko Zinda Kiya Ayah 56-Mann Aur Salwa Mann- Gondh Jaisi Cheez Salwa- Bird Hukm Tha Ke Taaza Khaye Lekin Un Logo Ne Hirs Se Bacha Kar Rakhna Shuru Kiya JisseBeemaar Hue.(Baasi Khane Se)-Ye Unka Khud Par Zulm Tha Ayah 59-Yoosha Bin Noon Ke Saath Falasteen Me Waapsi Hittatun(Astaghfirullah) Kehte Hue Basti Me Dakhil Hone Ka Hukm Lekin Unlogo Ne KhelTamashe Me Hintatun Kaha Is Gunah Ki Saza Me Unpar Plague Ka Azaab (Could Bhi Some Other Azaab Also)www.livequraneverymoment.orgPage 5

Jawahir Programme-Dawrae QuranJUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf Ruku 7 Ayah (60-61) 12 Chasmo Ka PhootnaHar Qabeele Ka Chasme Ke Size Ke Hisaab Se Apna Chashma Pehchaan NaMann Salwa Ke Badle Khane Ke Liye Doosri Cheez MangnaPyaz , Lehsan , Sabzi , Kakdi, Masoor Ugane Ka Hukm Jiske Liye Ek Jagah Basne Ka Bhi HukmNabiyo Ka Qatl KarnaZillat Aur Maskanat Ka Musallat Hona Bani Israel ParYaane Baad Me Nasaara Ke Haatho Bahut Zulm Hua InparFew Examples-Alexander, Hitler, Russian Revolution Etc Ruku 8- (62- 71) Apne Apne Waqt Par Jo Iman Laaye Aur Amal Kiye Nek Unko Duniya Me Na Koi Khauf HogaNa Akharat Me Koi Gham Yahoodi , Nasara Aur Sabi Me Se Aakharat Ke Hisaab Se Wahi Kamyab Honge Jo Apne WaqtPar Apne Nabi Par Iman Laye, Muhammad S.A.W Ke Aane Ke Baad Koi Aur Deen QuboolNahi Hoga Sabi-Inke Baare Me Ke Ye Kaun Hai Bahut Alag Alag Opinions HaiAyah 63-64Allah Ka Yahoodiyo Ke Sar Par Pahad Uthana Jab Unhone Taurat Par Iman Lane Se InkarKiyaAyah 65-66Ashabe Sabt Ke Bare Me Hai Sabt Yane Saturday Ye Log Bani Israel Me Se Hi The Samadar Ke Kinare Rehte Allah Ne Inhe Hafte Ke Din Sirf Ibadat Me Mashghool Rehne Ka Hukm Diya, Business, AurDuniyayi Koi Kaam Me Bhi Unhe Involve Nahi Hona Tha Saturday Wale Din Wo Log Machli Pakadne Ka Kaam Karte Unlogo Ne Ek Chaal Chali Ki Friday Ke Din Jaal Bicha Dete, Saturday Khud Ba Khud MachliyaJaal Me Phas Jaati, Sunday Jaal Nikal Lete Saza Ki Taur Par Unhe Bandar Banaya Gaya Lesson-Deen Me Tricks Aur Hila Saazi Gunah Hai. Ex-Zakat Se Bachne Maal Ko Bacho MeTaqseem KarnaAyah 67-71 Moosa A.S Ko Gaay Zubah Karne Ka Hukm Kyu Ke Gaay Muqaddas Nahi Hai, Balke Ek AllahKi Ek Maqlooq Hai Bani Israel Ne Poori Koshish Ki Ke Is Cheez Ko Taal Diya Jaye Kyu Ke Wo Gaay MuqaddasSamajhte Aur Ye Bhi Poocha Ke Kahi Ye Mazaakh To Nahi (Mazaakh Jahalat Hai) Is Baat Ko Taalne Ke Liye Unlogo Nekayi Tarah Ke Sawal Karne Lage Jaise Gaay Kaisi Ho? Jawab-Na Boodhi Na Jawan , Darmyani Umr Rang Kaisa Ho? Jawab-Gehra Zard (Dark Yellow) Ab Bhi Confusion Hai Jawab-Na Hal Chalati Ho, Na Kheto Ko Pani Pilati Ho,Na Koi Aib Ya Daagh Uspar sahisalamat ho-Bekaar Ki Hujjat Galat Hai ex-Murgi Pehle Aayi Ya Andamermaid Mili To HalalHai Ya Haram Finally In Sha Allah Kaha, Aur Gaay Zubah Ki, Agar In Sha Allah Na Kehte To Wo Log Ye KaamKabhi Na Kar Paatewww.livequraneverymoment.orgPage 6

Jawahir Programme-Dawrae QuranJUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf Ruku 9 (Ayat 72-82)Ayah 72-73 Bani Israel Ke Ek Shaqs Ka Qatl Hona Ilzaam Ek Doosre Par Lagana Moosa A.S Ke Paas Faisle Ke Liye Ana Gaay Ka Zubah Kiya Hua Hissa Murde Ko Lagana Murde Ka Kuch Der Ke Liye Zinda Hona Aur Qatil Kaun Hai Batakar Faut Ho Jaana Lesson-Isi Tarah Insaan Marne Ke Baad Qayamat Ke Din Dobara Zinda HogaAyah 74 Is Ayat Me Dilo Ko Patharo Se Compare Kiya Gaya Hai Logo Ke Dil Pathar Ho Gaye Hai-Jisme Koi Khair Nahi Hai Kuch Patharo Se Paani Phoot Te Ha—Dilo Me Khair Hoti Hai Kuch Shaq Hote Hai , Phir Paani Phoot Ta Hai—Kuch Haadso Ke Baad Khair Nikalti Hai Kuch Allah Ke Khauf Se Gir Padte Hai-Allah Ke Dar Se Sajdah Karte HaiAyah 75-78 Yahoodi Se Musalmano Ko Zyada Ummeed Thi Ke Wo Iman Layenge Kyu Ke Unke PaasPehle Se Rasoolo Ki Talimaat Thi, Lekin Yaha Unka Haal Bayan Ho Raha Hai Unhone Taurat Me Tehreef Ki, Muhammad S.A.W Ki Baat Jo Taurat Me Hai Chipayi Jab Iman Walo Se Milte Hai, Jhooth Kehte Hai Ki Iman Laaye Jo Tauraat Ki Baatein Batate Hai Musalmano Ko, Unse Kehte Hai Ki Sach Batau WarnaHujjat Qayam Ho Jayegi Allah Ka Jawab Ke Musalmano Ko Batao Ya Nahi Allah Ko Sab Maloom Hai. Kuch Ahle Kitaab Ko Kitabo Ka Ilm Nahi Hai Aur Sirf Wo Gumaan Karte Hai .Ex-Ke WoJannati Hai, Chune Hue Hai, Best HaiAyat 79-82 Allah Ke Kalaam Me Tehreef Karna Aur Kuch Baat Jo Allah Ki Taraf Se Nahi Hai, Use Allah KiTaraf Se Hai Kehne Walo Ke Liye Halakat Hai Kuch Log Kehte Hai Ke Unhe Jahannum Ki Aag Nahi Chuyegi, Lekin Allah Ne Kisi Ke SaathAisa Koi Wada Nahi Kiya Hai Jo Burayi Kare Unke Liye Aag Hai Aur Jo Iman Laye Aur Ache Amal Kiye Unke Liye Jannat Hai Ruku 10- Ayah 83-86 Bani Israel Se Ahad Ki Yaad Dihani(Taurat Me Aur Rasoolo Ke Zariye) Sirf Allah Ki Ibadat Karna Waldain, Ristedaar, Ghareeb Aur Miskeen Ke Saath Ehsaan Karna Namaz Qayam Karna Zakat Ada Karna Lekin Aksar Mukar GayeAyah 84 Bani Israel Ke 3 Qabeele The Banu Nadeer Banu Qainaqa Banu Quraiza Arabo Me Aws Aur Khazraj Ke Beech Dushmani Thi Bani Israel Ko Allah Ka Wada Tha Ke Ek Doosre Ka Qatl Nahi Karna Aur Naa Ke Ek Doosre KoGharo Se Aur Watan Se Nikalna Lekin Arabo Ki Ladai Ke Dawran Banu Quraiza Ne Aws Ka Saath Diya Aur Banu Nadeer AurBanu Qainaqa Ne Qazraj Ka Aur Is Tarah Aapas Me Ek Doosre Ke Qilaf Hue, Qatl Kiye AurGharo Se Nikalewww.livequraneverymoment.orgPage 7

Jawahir Programme-Dawrae QuranJUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --Kahf Lekin Jab Qaidi Bankar Jaate To Bani Israel Apne Logo Ko Fidiya Dekar ChudaateAllah Ke Kuch Ehkam Par Amal Kiya Aur Kuch Ko TodaAise Logo Ke Liye Duniya Aur Akhirat Me Ruswayi HaiLesson- Alaah Ke Tamaam Ehkam Par Amal Karna Hai, Sirf Kuch Par Karna Durust Nahi Ruku 11 (Ayah 87-96) Moosa A.S Ke Baad kayi Nabiyo Ka Aur Isa A.S Ka Aana (Roohul Quds-Jibrael A.S) Jab Koi Rasool Unko Pasand Naa Aate To Unka Inkar Karte Aur Kehte Ke Dil Ghilaf Me Hai,Aise Logo Par Laanat Hai Muhd Sa.W Ke Aane Se Pehle Wo Log Duae Karte Ke Aakhri Rasool Aye Aur Bani Israel KiDushmano Ke Qilaf Madad Kare Jab Aaye To Inkar Kiya Kyu Ke Wo Bani Ismael Me Se The Ghazab Ke Oopar Ghazab Hua-Duniya Me Logo Ne Unka Bahut Bura Haal Kiya Bani Israel Ka Aitaraaz Ke Ham Sirf Usi Par Iman Layenge Jo Bani Israel Me Aaya, To JawaabMe Sawaal Ke Apne Nabiyo Ko Bhi Tum Logo Ne Kyu Jhutlaaya Unka Kehna Ke Wahi Jannat Me Jayenge, Jawab-To Maut Ki Tamanna Karo , Mar Jao AurJannat Me Chale Jao, Lekin Wo Aisa Nahi Karte Kyu Ke Unhe Maloom Hai Ke Kya Sahi Hai 1000 Saal Bhi Jeena Unka Unko Azab Se Nahi Bacha Payega Ruku 12 (Ayah 97-103) Bani Israel Isliye Jibrael A.S Ke Dushman The Kyu Ke Wo Allah ki Wahi Bani Ismael(Muhammad S.A.W) Ke Paas Laye Jo 99-Khuli Ayatein-QuranAyat 102 Is Ayat Me Suleman A.S Ka Zikr Hai Suleman A.S Ke Time Par Jadu Uruj Par Tha Suleman A.S Ne Jadu Qatm Karne Ke Liye Jadu Ki Kitabein Apne Taqt Ke Neeche Dafan Kardi Unke Inteqal Ke Baad Logo Ko Jab Wo Kitabein Mili, Unhone Suleman A.S Par Hi IlzaamLagaya Ki Itni Badi Saltanat Jadu Ke Dam Par Rrakhi Is Ayat Me Allah Ye baat Keh Rahe Hai Ke Suleman A.S Jadu Nahi Karte Important Points Jadu Kufr Hai Jadu Haroot Aur Maroot Do Farishto Ne Sikhaya, Ye Allah Ki Taraf Se Azmayash Thi Koi jadu Bhi Allah Ke Izn Ke Bina Nahi Ho Sakta Hai Sabse Badtareen Jadu Miya Biwi Ke Beech Hai Ruku 13-(104-112)Ayah104 Rayina Yane- I Beg Your Pardon Bani Israel Muhammad S.Aw Ko Rayeeeeena Kehte-Yane Charwaha Ab Musalmano Ko Rayina Kehne Se Roka Jaa Raha Hai Lesson-Jo Cheez Se Fitna Ho Usse Ruk Jana Chahiye 105-Rehmat –Naboowat Bani Israel Chahte Ke Naboowat Sirf Bani Israel Me AayeAyah 106-Ayato Ka Mansooq Hona Koi Hukm Cancel Hona, Ya Uski Jagah Naya Ana Bani Israel Ka Ispar Aitaraz Allah Ki Badshahat Hai Aur Wo Jo Chahe KareAyah 108-Sahaba Se Ke Moosa Ki Qaum Ki Tarah Sawal Na Karo (Gaay Wala Waqeya)www.livequraneverymoment.orgPage 8

Jawahir Programme-Dawrae QuranJUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --KahfAyah 109-110 Bani Israel Musalmano Ko Kufr Par Pherna Chahte Hai,Wajah Hai Hasad Ke Bani Ismael MeNaboowat Aayi Unko Maaf Karo , Darguzar Karo Namaz Qayam Karo, Zakat Do Aur Jo Bhi Amal Karoge Use Qayamat Ke Din PaogeAyah 111-Yahood Aur Nasara Ka Ke Wahi Sirf Jannat Me Jayenge Ye Unki sirf Arzu Hai, DaleelLao Agar Sach Hai To Jannat Kiski Hogi Phir? Ayah 112- Jo Apne Aap Ko Allah Ke Liye Supurd Karde Ruku 14- (Ayah 113-121) Yahood ,Nasara Aur Ahke Kitab Sab Kehte Ki Ham Sahi Hai Lekin Faisla Qayamat Ke DinHoga Sab Se Bada Zaalim Masajid Se Rokne Wale Hai (Masjide Haraam Ya Firqa Waari Ki WajahSe) Mashriq Aur Maghrib Allah Ke Liye Hai, (Poori Zameen Aur Har Samt) Allah Ki Koi Aulaad Nahi Hai Balke Allah Asman Aur Zameen Ke Malik Hai, Paida Karne WaleHai Aur Sab Allah Ki Itaat Me Hai Lailm Log (Ahle Makkah) Ka Mutaalba Ke Unhe Allah Dekhna Hai Ya Unke Paas Wahi Aaye—Isi Tarah Moosa Ki Qaum Ne Bhi Kaha Tha(Kya Hashr Hua Unka) Yahood Aur Nasara Musalmano Se Tabhi Razi Honge Jab Unka Tareeka Follow Karnege,Lekin Hidayat Aane Ke Baad( Quran Aur Hadeeth) Jo Unko Follow Karega, Uska Koi Dost YaMadadgar Nahi Hoga .(Splly Qayamat Ke Din) Kitab Ko Padhne Ke Saath Uska Haq Ada Karna Hai, Inkar Karne Wale Ke Liye Khasara Hai Quran Ka Haq Usko Padhna Samjhna Amal Karna Doosro Ko Batana Koi Taleem Iski Naa Chipana Ruku 15 (Ayat 122-129) Qayamat Ke Din Koi Kisi Ke Kaam Nahi Ayega, Na Fidiya Dekar Choot Sakte Hai, Na SifarishQubool HogiYahaa Se Ibraheem A.S Ka Zikr Ibraheem A.S Ko Kayi Azmayasho Ke Baad Imam Banaya Gaya Imam ( Yahood , Nasara, Ahlemakkah, Musalman Sab Unko Mante) Ibraheem A.S Ki Kuch Azmayashein Buth Parast Walid Walid Ka Khud Unhe Jalane Laakdiya Dhona Jila Watan Kayi Saal Tak Koi Aulaad Nahi Mushkil Se Hone Wali Aulad Aur Biwi Ko Sehra (Desert ) Me Chodne Ka Hukm Bete Ko Zubah Karne Ka Hukm Etc Ibraheem A.S Ne Fauri Apni Aulad Ki Imamat Ki Dua Ki Lekin Allah Ka Jawab Ke Jo ZalimHonge Unhe Nahi Milega Khane Kaaba Ko Ibadat Ki Jagah Banayi Gayi (Ye Adam A.S Ke Waqt Se Hai, Toofane NoohMe Deewarein Gir Gayi)www.livequraneverymoment.orgPage 9

Jawahir Programme-Dawrae Quran JUZ 15 – Subhanallazi : Surah 18 --KahfDua Karte Hue Deewaro Ko Buland Kiya Gaya Ke Ye Kaam Qubool Ho, Unko Aur UnkiAulado Ko Musalmaan Banaya Jaye, Aur Unki Aulado Me Se Rasool Ho Jo Kitaab Aur HikmatJanta Ho Aur Tazkiya Kare(Muhammad S.A.W Ka Aana Is Dua Ke Nateeje Me)Manasik- Ibadat Ke Aur Hajj Ke Tareeke-Jibrael A.S Ne Unhe Sikhaya Ruku 16(Ayah 130-141)Jo Ibraheem A.S Ke Tareeke Se Hath Gaya Wo Halak HuaIbraheem A.S Ka Tareeka Tauheed Har Aazmaayish Me Allah Ke Saamne Jhukna Apne Aap Ko Allah Ke Liye Supurd KardenaIbraheem A.S Ne Aur Yakoob A.S Ne Apne Beto Ko Musalman Hone Ki Aur Tawheed KiNaseehat KiHar Ummat Ko Sirf Apna Jawaab Dena HaiYahood, Nasara, Ya Mushrik Ka Tareeka Hidayati Yafta Nahi Balke Ibraheem A.S Ka TareekaSahi HaiIman Ka Hissa Tamaam Rasoolo Par Iman Laana Aur Nabiyo Me Farq Nahi Karna HaiAllah Ka Rang-(Dekh Kar Allah Ki Yaad Aye, Allah Ke Ehkam Par Chalne Wala), Yahi BestRang HaiAllah Zyada Jante Hai Ki Pichle Nabiyo Ka Deen Kya HaiZalim Log Wo Hai , Jinhone Allah Ki Gawahi Chipayi( Akhri Nabi Ki Batein)www.livequraneverymoment.orgPage 10

Goonge, Behre Aur Andhe Hai Aur Hidayat Ki Taraf Palatna Unka Mushkil Hai 2.Amali Munafiqeen- Iman Ki Barish Ke Saath , Usme Azmayasho Ke Andhere, Bijli Aur Kadak Hoti Hai. Jab Koi Zaati Fayda Islam Me Dihkta To Iman Walo Ke Saath Ho Jaate, Jab Koi Nuksaan Dikhta Aage Nahi Badhte. Allah Chahe To Inki Dekhne Aur Sunne (Haq Aur Hidayat) Ki Salahiyat

Related Documents:

The Surahs of the Qur’an that are assigned for each grade are as follows: . Grade 5 Juz Amma & Surah Al-Mursalaat & Surah Al-Insaan Grade 6 Juz Amma & Juz Tabaarak (only to Surat Al-Jinn) Grade 7 Juz Amma & Juz Tabaarak Challenge (Any Grade) Surat Al-Israa and Surat Al-Fath The Messenger

The Quran is additionally divided into 30 equal sections, called juz' (plural: ajiza). The 30th juz’ of the Quran includes the last 36 surahs (chapters) of the holy book, from the first verse of the 78th chapter (An-Nabaa 78:1) and continuing to the end of the Quran, or verse 6 of the 114th chapter (An-Nas 114:1).This entire juz' has a .

part in life as a Muslim. Al-Quran itself has 30 chapter (also known as Juz) wltich is consist of 114 surah's. The last chapter of it which is the 30. th . Juz is Juz Amma, it consist of37 surahs started from surah An-Naba' and ends with An-Naas most commonly memorized among average Muslim.

This is a commentary on Juz al’-Amma, the final section of the Glorious Qur an. Juz al-‘Amma begins with Surat an-Naba and ends with Surat an-Nas, and it contains the greatest number of surahs (37) of any juz’. Most of these surahs were reveal

Zor Pismis is the repetition of old memorization of the verses of the Quran that is difficult in the juz to be read on that day which is repetition of memorization of the verses in the juz which was memorized a month earlier. It is implemented at 2.45pm to 3.30pm. The students will articulate the old memorization of that juz, known as Zor Pismis.

Mughirah bin Bardizbah Al-Bukhari dan Abul Husain Muslim bin Al-Hajjaj bin Muslim Al-Qusyairi An-Naisaburi di dalam kedua kitabnya yang paling shahih diantara semua kitab hadits. Bukhari Juz 1 : 1 dan Muslim Juz 3 : 1907) - 3 -

qur‟an juz 30 di MI Darul Hikmah Bantarsoka Purwokerto Barat terdiri dari tiga kegiatan perencanaan, pelaksanaan dan evaluasi. Kegiatan yang diterapkan berupa setoran hafalan, sima‟an dan muraja‟ah. Adapun proses hafalan dilakukan dengan metode talaqqi, tasmi‟ dan takrir. Secara umum siswa menghafal dengan metode

PERBEDAAN REGULASI EMOSI ANTARA PENGHAFAL QURAN 1-15 JUZ DAN PENGHAFAL QUR'AN 16-30 JUZ DI PONDOK PESANTREN NURUL QUR’AN KRAKSAAN, PROBOLINGGO S. Anis Al Habsyi_10410144 Jurusan Psikologi – Fakultas Psikologi Universitas Islam Negeri Maulana Malik Ibrahim Malang A. PENDAHULUAN 1. Latar Belakang Masalah