ð HUSSAINI - Dawat-e-Islami

3y ago
68 Views
2 Downloads
306.38 KB
19 Pages
Last View : 1m ago
Last Download : 3m ago
Upload by : Josiah Pursley
Transcription

ُ دو ُðH U SSA I N I D U L H AYeh Risalah Shaykh-e-Tariqat Ameer-e-Ahl-e-Sunnat banie-Dawat-e-Islami, Hazrat Allamah Maulana Abu BilalMuhammad Ilyas Attar Qadiri Razavi neytehreer farmaya hay, Majlis-e-Tarajim ney is ko RomanEnglish main compose kiya hay. Agar is main koi kami-bayshipayain to Majlis-e-Tarajim ko aagah kar key Sawab keyhaqdar baniye.Majlis Tarajim (Dawat-e-Islami)Alami Madani Markaz, Faizan-e-Madina, Mahalla Saudagran,Purani Sabzi Mandi, Baab-ul-Madina, Karachi, PakistanContact #: 92-21-34921389 to 91translation@dawateislami.net

ٰۡۡ ٰ ۡ ٰ ۡ ٰ ۡ ۡ " ۡ ! ٰٰ ۡ ٰ () *ۡ 0" , ٰ 0ۡ " / ! ۡ () *ۡ " , - ۡ . , ' # % ۡ # & # 'Kitab Parhne ki Du’aAz: Sheikh-e-Tariqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat, Baniye Dawat-eIslami, Hazrat-e-Allama Maulana Abu Bilal Muhammad IlyasAttar Qadiri Razavi ( )Dini Kitab ya Islami Sabak Parhne se Pehle Zail mein Di hoiDua Parh Lijiye ! " # jo Kuch Parhengay yaad rahega.Dua yeh hai ٰ ﺣﻜﻤ ﺘ ﻚ ﻧ ﺸ ﺮ ﻬ ﻠ ﻟ ﻢ ﻓ ﺘ ﺢ ﻋ ﻠ ﻴ ﻨﺎ % ﻴ ﻨﺎ ﻋ ﻠ ﻻﻛ ﺮ ﻼ ﺠ ﻟ # ﺣ ﻤ ﺘ ﻚ ﻳ ﺎ TarjamaAye Allah ! " # hum par Ilm-o-hikmat key darwaze khol de aurhum par apni rehmat naazil farma! Aye azmat aur buzurgi wale!(Al-Mustaṭraf, vol. 1, pp. 40)Note: Awwal akhir aik aik bar durood-e-pak parh lain.

ۡۡ ٰ ٰ ۡ ٰ ۡ ٰ ۡ " ۡ ! ۡ ٰٰٰ ۡ ۡ ۡ ۡ ()*ۡ " ,- () * ۡ 0 " , ٰ 0ۡ " / ! . , ' # % # & # 'H u ssa i n i D u l h a *Shetan lakh susti dilae 17 safhat ka ye bayan makamal parh lijeaInsha’Allah ! " # aap apney dil mai madani inqilab barpahota mahsos farmain gey.Bakamal Madani MunniHazrat Sayyiduna Shaikh Mohammad bin Suleman Jazuli & ' ( ) farmatey hain: mai safar per tha, aik maqam per * % namaz ka waqt ho gaya, wahan konwan to tha mager dol orrassi nadarad (ya’ni gayab) mai isi fikar mai tha key aik makankey ooper sey aik madani munni ney jhanka or pocha: aap kiatalash kar rahe hain? mai ne kaha: beti! Rassi or dol, us neypocha: aap ka nam? Farmaya: Mohammad bin Suleman Jazoli & ' ( ) , madani munni ney hairat sey kaha: acha aap he * % hain jin ki shorat key dankey baj rahe hain or hal ye hai key* Ye bayan Ameer-e-Ahle sunnat ney tableegh-e-Qur'an-o-Sunnat ki a'lamgeer gher siyasi tehreekDawat-e-Islami key karachi mey sindh satah par honey waley teen rozah Sunnaton Bharey Ijtama'1420 mey farmaya tha. Tarmem-o-Izafey key sath tahriran hariz-e-khidmat hey.Majlis Maktaba-tul-Madinah1

Hussaini Dulhakonwen se pani bhe nahe nikal saktey! ye keh kar us neykonwen mai thook dia, kamal ho gaya! Aanan fanan pani operaa gaya or konwen sey chalakney laga, aap ney wozo sey faragatkey bad us bakamal madani munni sey farmaya: beti! Sachbatao tum ney ye kamal kis tarha hasil kia? Kehney lagi: “Maindurood-e-pak parhti hon, isi ki barakat sey ye karam hoa hai.”Aap farmatey hain: us bakamal madani munni sey mutasir hokar mai ney waheen ‘ehed kia key mai durood shareef keymut’aliq kitab likhon ga, (s’aadatdarain p 159 darulkitabulilmiyaberoot) chunachey aap ney durood shareef key barey mai kitablikhi jo behad maqbool hoee or us kitab ka nam hai“Dalailulkherat” ( ﲑات َ ْ ) َد َﻻﺋ ُِﻞ اﻟْ َﺨ . ﻟﺤ ﺒ ۡﻴﺐ ﺻ ﻠ ۡﻮ ﻋ ٰ ﻟ ٰﻠ ﻪ ﺗﻌ ﺻ ﻣﺤ ﻤﺪ ٰ ﻋ 0 ﺎ Mithe mithe Islami bhaiyo! Abhi pichley dino ham ney karbalakey azeem shaheedon ki yad manaae hai, aa eye! Mai aap kokarbala key Hussini Dulha ki dardangez dastan sunaoon,chunache Sadrulafazil Hazrat Alama Molana Syed MohammedNaeemuddin Muradabadi , ۡ & ' ( ) * apni mashhoor kitab“Sawanaeh Karbala” mai naql kartey hain:Hussaini DulhaHazrat Sayyiduna Wahb Ibn-e-Abdullah Kalbi . # % & ) qabila bani kalb key naik Khu or khubaro jawan the, u’nfuwan-e-shabab,umangon ka waqt or baharon key din the sirf 17 roz shadi ko hoe2

Hussaini Dulhathe or abhi besat-e-ishrat o nishat garam he thi key walida majida .# % & ) tashreef laeen jo aik bewa khatoon then or jin ki sari kamaae or ghar ka charag yehe aik nojawan beta tha, madar-emushfiqa ney rona shuro kar dia, beta hairat mai aa kar maa sepochta hai: pyari maa! Ranjomalal ka sabab kia hai? Mujhe yadnahe parta key mai ney apni umer mai kabhi aap ki nafarmaniki ho, na aayanda aysi jurat kar sakta hon, aap ki eta’at ofarmabardari mujh per farz hai or mai Insha allah tabe zindagimat’e o farmabardar he rahon ga, maa! Aap key dil ko kiasadma pohncha or aap ko kis gam ney rulaya? meri pyari maa!mai aap key hukm per jan bhe fida kaney ko tyar hon aapgamgeen na hon.Sa’adat mand iklotey betey ki ye sa’adat mandana guftugo sunkar maa or bhi cheekh mar kar roney lagi or kehney lagi: ayfarzand-e-dilbadan! tu meri aankh ka noor, merey dil ka suroorhai ay merey ghar key roshan charag or mery bagg key mahakteyphool! mai ney apni jan ghula ghula kar teri jawani ki bahar paaehai, tu he merey dil ka qarar or meri jan ka chen hai, aik pal terijudaae or aik lamha tera firaq mujh sey bardasht nahe ho sakta.Jo dar khwab basham toe dar khayalmChu baidar gardam toe dar zamiram(Y’ani jab souon to merey khawabon or khayalon mai to or jabjagoon to merey dil ki yadoon mai bhi to) Ay jan-e-madar! mainey tujhey apna khoon-e-jigar pilaya hai, aaj is waqt dasht-ekarbala mai nawasa-e-mahboob-e-rab-e-zuljalal, mola mushkil3

Hussaini Dulhakusha ka lal, khaton-e-jannat ka nonehal, shahzada khushkhisalzulm o sitam sey nidhal hey, merey lal! kia tujh sey ho sakta hai keyto apni jan us key qadmoon per qurban kar daley! Is be- gheratzindagi per hazar tuf hai key ham zinda rahen or Sultan Madina-e 1Munawara Shahanshah-e-Makka Mukarrama 2 ! ٖ ! * % & 0 kaladla shahzada zulm o jafa key sath shaheed kar dia jae, ager tujhemeri muhabatayn kuch yad hon or teri parwarish mai jomoshaqatain mai ney uthaee hain un ko to bhola na ho to aymerey chaman key mahaktey phool! to piyarey Hussain key serper sadqe ho ja, Hussaini Dulha Sayyiduna Wahb . # % & ) ney‘arz ki: ay madar-e-meharban, khobi naseeb, ye jan shahzadaHussain . # % & ) per qurban ho mai dil o jan sey aamada hon, aik lamha ki ejazat chata hon takey us Bibi sey do batain kar lon jisney apni zindagi ke ‘aish o rahat ka sehra ser per bandha hai or jiskey arman merey siwa kisi ki taraf nazar utaha kar nahe dekhtey,us ki hasratoon key tarpne ka khayal hai, ager wo chahey to mai usko ejazat dey doon key apni zindagi ko jis tarha chahey guzarey,maa ney kaha: beta! Oratain naqis aqel hoti hain, mubada to us kibatoon mai aa jaey or ye s’aadat sarmadi tery hatoon sey jati rahey.Hussaini Dulha wahb . # % & ) ney ‘Arz ki: Piyari maa! Imam . #% & )Hussain ki muhabt ki girah dil mai aysi mazboot lagihai key ! " # us ko koi khol nahe sakta or un ki jaannisari ka naqsh dil per is tarha kanda hai jo dunya key kisi bhipani sey nahe dhoya ja sakta, ye keh kar Bibi ki tarf aaey orusey khaber di key farzand-e-Rasool Ibn-e-Fatima Batool,Gulshan-e-Mola Ali . # % & ) key mahaktey phool medan-e 4

Hussaini Dulhakarbala mai ranjeeda-o-malool hain, Ghaddaraon ney un pernargha kia hai, meri tamanna hai key un per jan qurban karoon,ye sun kar nai dulhan ney aik aah sard dil per dard sey khenchior kehney lagi: Ay Merey Sar Key Taj! Afsos key mai is jang maiaap ka sath nahe dey sakti, Shari’at-e-Islamiyah ney o’raton kolarney key lie medan mai aaney ki ejazat nahe di, Afsos! IsSa’adat mai mera hissa nahe key terey sath mai bhi dushmanoonsey lar kar Imam-e-A’ali Maqam per apni jan qurban karoon,Subhanallah ! " # 3 4 5 2 aap ney to janati chamanistan ka iradakar lia wahan horain aap ki khidmat key lie hazir hon gi, us waqtaap mujhey bhi hamra rakhen.Hussaini Dulha apni us naik dulhan or barguzida maa ko lay karFarzand-e-Rasool ki khidmat mai hazir hoa, Dulhan ney ‘Arz ki:Ay Ibn-e-Rasool! Shuhada ghorey se girtey hi huron ki goad maipohanchtey hain or Ghilman-e-Jannat Kamal-e-Eta’at Shia’rikey sath un ki khidmat kartey hian, Huzoor per jaan nisari kitamanna rakhtey hain, or Main nihayat hi be-kas hon, koi aiseyrishte dar bhi nahe jo meri khaber geeri kar saken, Iltija Ye haikey a’rsa gah-e-mahshar mai meri in sey judae na ho, or dunyamai mujh gareeb ko aap key Ahl-e-Bait apni kanizoon mairakhen, or meri tamam umer Aap . # % & ) ki pak Bibiyon 3 . # % & ) ki khidmat mai guzar jae. Hazrat Imam-e-A’ali Maqam . # % & ) key samney ye tamama’hed-o-pemaan ho gae or Sayyiduna Wahb ney bhi ‘Arz kar dikey ya Imam-e-A’ali Maqam! Ager huzoor Tajdar-e-Risalat5

Hussaini Dulha 1 2 ! ٖ ! * % & 0 ki Shifa’at sey mujhey jannat mili to mai arz 1karon ga: Ya Rasool Allah 2 ! ٖ ! * % & 0 ye Bibi merey sathrahey, Hussaini Dulha Sayyiduna Wahb . # % & ) Imam-e. #% & )A’ali Maqam sey ejazat ley kar medan mai chal die, yedekh kar lashker-e-a’ada per larza tari ho gaya key ghorey per aikmah-e-ro shahsawar ajel-e-nagahani ki tarha lashker ki tarafbarha chala aa raha hai hath mai neza hai dosh per sipar hai ordil hila dene wali aawaz key sath ye rajaz parhta aa raha hai:ۡ ۡ ۡ 3 ۡ3 ۡ ﻣ ﲑﺣﺴﲔ ﻧﻌﻢ ﻻ ﻣﲑ 3 ۡ ٗۡ ۡ ﻟ ﻤ ﻨﲑ 7 ﻟﻤﻌﺔ ﻛﺎ : ﻟﺴﺮ (Y’ani Hazrat-e-Hussain ameer hain or bohat he achey ameer,un ki chamak damak roshan charag ki tarha hai)Barq-e-khatif (y’ani uchk leney wali bijli) ki tarha medan maipohnchey, Koh-e-Pekar Ghorey per sipah gari key fanon dikhae,saf-e-a’da sey mubariz talab farmaya, jo samney aaya talwar seyus ka sar uraya, girdo pesh khud saroon (y’ani sarkashon) keysaroon ka anbar laga dia, nakasoon (y’ani na-ahloon) key tankhak-o-khoon mai taraptey nazar aaney lagey, yakbargi ghorey kibag mor di or maa key pas aa kar arz ki key ay mader mushfiqa!Tu mujh sey ab to razi hoe! Or dulhan key pas pohnchey jobeqarar rorahi thi or us ko sabar ki taqeen ki, itney mai a’ada ۡ(y’ani dushmanoo) ki taraf sey aawaz aae: % ( ﻫﻞ ﻣ ﻦ ﻣﺒ ﺎ Y’ani koihai muqabaley mai aaney wala? Sayyiduna Wahb . # % & ) ghorey per sawar ho kar medan ki taraf rawana hoey, nae6

Hussaini Dulhadulhan tiktiki bandhey un ko jata dekh rahi hai or aankhon seyaansouon key darya baha rahi hai.Hussain Dulha sher-e-ziyaan (y’ani gazabnak sher) ki tarhateg-e-aabdar o neza-e-jaan shikar ley kar marka kar zar maisae’qa war aa poncha, us waqt medan mai a’ada ki taraf sey aikmashoor bahadur or namdar suwar hakam bin tufail jo gorornabrad aazmaae mai sarshar tha takabur sey bal khata hoalapka Sayyiduna Wahb . # % & ) ney aik he hamley mai us ko nezey per utha kar is tarha zameen per dey mara key hadyaanchakna choor ho gaee or dono lashkaroon mai shor mach gayaor mubarizoon mai himat muqabala na rahi, Sayyiduna Wahb & . # % ) ghora doratey hoe qalb-e-dushman per ponchey, jo mbariz samney aata us ko nezey ki nok per utha kar khak perpatkh detey, yahan tak key neza para para ho gaya, talwarmiyan sey nikali or teg zano ki gardaney ura kar khak mai miladeen , jab a’ada is jang sey tang aa gae to ‘amro bin s’ad neyhukm dia key sipahe is nojawan key gird hujoom kar keyhamla karen or har taraf sey yakbargi tot paren chunache aisahe kia gaya, jab Hussaini Dulha zakhmoon say choor ho karzameen per tashreef laey to siyah dilan bad batin ney un ka sarkat kar Hussaini kashkar ki taraf uchal dia, maa apne lakht-ejigar key sar ko apny moo sey malti thi or kehti thi: Ay beta,merey bahadur beta ab teri maa tujh sey razi hoe, phir wo sar uski dulhan ki goad mai la kar rakh dia, dulhan ney aik jhurjhuri lior usi waqt parwane ki tarha us shamm’a jamal per qurban hogae or us ki rooh Hussaini Dulha sey ham aagosh ho gae,7

Hussaini DulhaSurkhuroe isey kehtey hain key rahe haq maiSar key deney mai zara to ney taamul na kiaۡۡ @ ﺎ ﻨ ﺠ ﺳﻜﻨ ﺲ ﻟ BC ﻜﻤﺎ ﷲ ﻓﺮ ﻟﺮ % ﻏﺮﻗﻜ ﻢ ﰱ ﺑﺤﺎ @ ﺣﻤ ﺔ ﻟﺮﺿﻮ (Y’ani Allah ! " # aap ko firdos key bagoon mai jagey ‘inayatfarmae or rahmat-o-rizwan key daryaon mai gareeq karey)(Mulkhis az swaneh karbala 14 to 36 maktab tulmadina Karachi)Mithe mithe Islami bhaiyoo! dekha aap ney Ahl-e-Bait-e-athar kimohabat or jazba-e-shahadat bhi kaisi ‘Azeem N’amaten hain sirf17 din ka Dulha medan-e-karzar mai dushmanoo key lashkar-ejarrar sey tan-e-tanha takra gaya or jam-e-shadat nosh kar keyjanat ka haqdar ho gaya, Hussaini Dulha ki walida muhtarma ornobiyahta dulhan per bhi karoron salam! kis qadar bulandhonsley key sath maa ney apney lal ko or dulhan ney apney suhagko Imam-e-A’ali maqam, Imam-e-Arsh maqam, imam-e-tishnakam, Imam-e-Humam, syed shuhada, rakib-e-dosh-e-Mustafa,bekas-e-karbala imam Hussain . # % & ) key qadmoo per qurban hotey dekaha Allah ! " # aisi buland rutba kahatonane-islam key jazba-e-Islami ka koi zarra hamari maaoon orbehnoon ko bhi naseeb karey key wo bhi olad ko Deen-e-Islamki khatir qurbanyoon key lie pesh Karen, inhen sunnatoon keysanchey main dhalen or Aashiqan-e-Rasool key sath madaniqafiloon mai safar per aamada Karen.8

Hussaini Dulhalotney rahmaten qafiley mai chalosikhne sunnaten qafiley mai chalohon gi hal mushkilen qafiley mai chalokhatm hon shamaten qafiley mai chalo ﻟﺤ ﺒ ۡﻴﺐ ﺻ ﻠ ۡﻮ ﻋ ٰ ﻟ ٰﻠ ﻪ ﺗﻌ ﺻ ﻣﺤ ﻤﺪ ٰ ﻋ 0 ﺎ Teen bhadur bhaiHazrat-e-A’llamah Abu-l-Faraj ‘Abdul-ur-Raman bin Juzi & ' ( ) ‘Oyon ul hikayat mai naql kartey hain: 3 shami ghur * % sawar bahadur nojawan bhai Islami lashkar key sath jihad perrawana hoey lekin wo lashkar sey alag ho kar chaltey or paraaodaltey they, or jab tak kuffar ka lashkar un per hamley maipehel na karta wo laraae mai hisa nahe letey the, aik martabaromio ka aik bara lashkar musalmanoo per hamla aawar hoa orkaee muslamanoo ko shaheed or mut’adad ko qaidi bana lia.Ye Bahi aaps mai kehney lagey: Musalmanoo per aik barimusibat nazil ho gae hai ham per lazim hai key apni janoo kiparwa kie bigair jang mai kood paren, ye aagey barhe or jomusalman baqi bachey the un sey kehney lagey: Tum hamareypichey ho jao or hamey un sey muqabla karney do, ager Allah ! " # ney chaha to ham tumharey lie kafi hon gey, ye romilashker per tot parey or romio ko pichey hatney per majboorkar dia, romi badsha (jo in teeno ki bahadri ka manzer dekhraha tha) apney aik jarnail sey kehney laga: jo in mai sey kisinojawan ko gariftar kar key laey ga mai usey apna muqarab or9

Hussaini Dulhasipah salar bana don ga, romi lashker ney ye e’alan sun karapni janey lara deen or aakhir kar in teeno bahiyon ko bigairzakhmi kie gariftar karney mai kamyab ho gae, romi badshahbola: in teenoo sey barh kar koi fatha or mal-e-ganeemat nahe,phir us ney apney lashkar ko rawangi ka hukm dia or in teenoobhaiyon ko apney sath darulsaltanat qustuntunya ley aaya orbola: ager tum islam tark kar do to mai apni betiyon ki shaditum sey kar don ga or aayanda badshahat bhi tumhareyhawaley kar don ga, in bhayon ney Eman per sabit qadami kamuzahra kartey hoey is ki ye peshkash thukra di or Sarkar-e 1 1 ٖMadina 2 ! ٖ ! * % & & 0 ko pukara or Aap 2 ! ! * % 0 seyistigasa (y’ani faryad ki) badshah ney apney darbariyoon seypocha: ye kia keh rahey hain? darbariyoon ney jawab dia: yeapney nabi ko pukar rahey hain, badshah ney in bhaiyon seykaha: Ager tum ney meri bat na mani to mai teen degoon maitail khoob karkara kar teenoo ko aik aik deg mai phinkwa donga, phir us ney tail ki 3 degey rakh kar un key nichey 3 din takaag jalaney ka hukm dia, her din un 3 bhaiyon ko in degoonkey pas laya jata or badshah apni peshkash in key samneyrakhta key islam chor do to mia apni betiyoon ki shadi bhi tumsey kar doon ga or aayanda badshahat bhi tumharey hawaleykar don ga, ye teeno bhai her bar Eman per sabit qadam raheyor badshah ki is pashkash ko thukra dia, 3 din key bad badshahney bare bahi ko pukara or apna mutalba dohraya, is mard-emujahid ney inkar kia, badshah ney dahmki di mai tujhey isdeg mai phikwa don ga, lekin us ney phir bhi inkar he kia,10

Hussaini Dulhaaakhir badshah ney tesh mai aa kar isey deg mai dalney kahukm dia jesey he us nojawan ko kholtey hoey tail maid dalagaya, aanan fanan us ka sab gosht post jal gaya or is ki hadyaanooper zahir ho gaen, badshah ney dosrey bhai key sath bhe isitarha kia or usey bhi kholtey tail mia pikhwa dia, jab badshahney is qadar karey waqt mai bhe islam per in ki istiqamat or inhoshroba masaib per saber dekha to nadim ho kar apney aapsey kehney laga: mai ney in (muslamano) sey ziada bahadurkisi ko na dekha or ye mai ney in key sath kia kiya? phir us neychotey bhai ko laney ka hukm dia or usey apney qareeb kar keymukhtalif heley bahano sey wargalaney laga lekin wo nojawanis ki chalbazi main na aaya or is key paaey sabat mai zarrabarabar lagzish na aae, itney mai is ka aik darbari bola: aybadshah ager mai isey phusla doon to mujhe in’aam mai kiamiley ga? Badshah ney jawab dia: mai Tujhe apni foj kasipasalar bana don ga, wo darbari bola mujhe manzoor haibadshah ne daryaft kia tum isey kesey phuslao ga? darbari neyjawaban kaha ay badashah tum janatey ho key ahle araboratoon mai bohat dilchaspi rakhtey hain or ye bat sarey romijantey hain key meri Fulani beti husn o jamal mai yakta hai orporey rom mai us jesi haseena or koi nahe, tum is nojawan komerey hawaley kar do mai isey apni us beti ko tanhaae maiyakja kar don ga or wo usey phuslaney mai kamyab ho jaey gi,badshah ney us darbari ko 40 din ki muddat di or is nojawanko is key hawaley kar dia, wo darbari isey ley kar apni beti keypas aaya or sara majra usey keh sunaya, larki ney bap ki bat per11

Hussaini Dulhaamel pera honey per rizamandi ka izhar kia, wo nojawan uslarki key sath is tarha rehney laga key din ko roza rakhta ratbhar nawafil mai mashgool rehta, yahan tak key muqarrarahmuddat kahtam honey lagi to badshah ney us larki key bap seynojawan ka hal daryaft kia, us ney aa kar apni beti sey pocha towo kehney lagi key mai usey phuslaney mai nakam rahi yemeri taraf maa il nahe ho raha shayad is ki waje ye hai key iskey dono bhai is sheher mai marey gaey or un ki yad isey satatihai lihaza badshah sey muhlat mai izafa karwa lo or ham donoko kisi or sheher mai ponhcha do, darbari ney sara majrabadshah ko keh sunaya , badshah ney muhlat mai izafa kar diaor un dono ko dosrey sheher ponhchaney ka hukm dey dia, wonojawan yahan bhi apney m’amool per qaaim raha y’ani dinmai roza rakhta or rat bher ‘ebadat mai masroof rehta, yahantak key jab mohlat khatam honey mai 3 din reh gaey to wolarki betabana us nojawan sey arz guzar hoe: mai tumhareydeen mai dakhil hona chahti hon or yon wo muslaman ho gae,phir unho ney yahan sey firar honey ki tarkeeb banaae wo larkiastabal sey 2 ghorey laae or us per sawar ho kar ye Islamisaltanat ki taraf rawana ho gaey, aik rat unho ney apney picheyghoron ki tapoon ki aawaz suni, larki samjhi key romi sipahiun ka picha kartey hoey qareeb aa pohnchey hain, is larki neynojawan sey kaha: Aap us rab se jis per mai Eman la chuki hondoa kijea key wo hamey hamarey dushmanoo sey najat atafarmaey, nojawan ney palat kar dekha to hairan reh gaya keyus key wo dono bhai jo shaheed ho chukey they, firishtoon key12

Hussaini Dulhaaik giroh key sath un ghoroon per sawar hain, is ney un ko salamkia phir un sey un key ahwal daryaft kie wo dono kehney lagey:ham aik he gotey mai Jannat-ul-Firdos mai pohanch gae theyor Allah ! " # ney hamey tumharey pas bheja hai, is key bad wolot gaey or wo nojawan us larki key sath mulk-e-sham pohnchaor is key sath shadi kar key waheen rehney laga, in 3 bahadurshami bhaiyoo ka q

Aye Allah !"# hum par Ilm-o-hikmat key darwaze khol de aur hum par apni rehmat naazil farma! Aye azmat aur buzurgi wale! (Al-Musta raf, vol. 1, pp. 40) Note: Awwal akhir aik aik bar durood-e-pak parh lain.

Related Documents:

Madani Qa’idah vii only in Pakistan 2,525 Madrasahs are being conducted, in which 29,468 Islamic sisters are being taught the Holy Quran, Salah, Sunnah and learn Du’as by heart all for free.

The best person amongst you is he who learnt the Holy Quran and taught to others. ( aī Bukhārī, Kitāb Fa āilul-Quran, pp.435, adīš 502 7) ,ˆ -. ! In order to spread the teachings of the Holy Quran, Dawat-e-Islami, the non-political global movement for the propagation of the Holy Quran and Sunnaĥ has

The Holy Quran is the last book of Allah . One who recites it and acts upon its teachings succeeds in his worldly life as well as in the afterlife. 6ˆ -7 ! Dawat-e-Islami, a global and non-political movement for the preaching of Quran and Sunnaĥ, has es

17 y Æ5Zg Æg§„ Ññf 18 18 w ª 19 19 w VZv0*Ôw åaÔw ZŠÔw

2. I will deliver my speech (Bayān) by reading from a book of an authentic Sunni scholar. 3. Allah has stated in the Glorious Quran: ۡ 4 ﺔˇ ﻈﻋ ˇﻮۡﻤ ۡ ﻟ و ﺔˇﻤ ۡ ۡ 4 ﺎˇﺑ ﻚˇ ﺑر ﻞˇﻴۡﺒˇﺳ : ٰ; ˇ ع دۡ Translation from Kanz-ul-Īmān:Call towards the path of your Lord with '

Usually, everyone experiences satanic whispers. Someone experiences them a lot and someone a little. Some deeply sensitive people continue to think about satanic whispers and get into trouble. If ignored, satanic whispers usually come to an end. As soon as you begin to experience satanic whispers, start remembering Allah . For example, start .

ajaran Islam (Nashori, 2002). Psikologi Islami didefinisikan . metodologi dan pendekatan problem dengan didasari sumber-sumber formal Islam, akal, indera dan intuisi (Ancok & Suroso, 2005). Suryabrata (2002) juga menyatakan bahwa kajian tentang keprib

Marxism is a highly complex subject, and that sector of it known as Marxist literary criticism is no less so. It would therefore be impossible in this short study to do more than broach a few basic issues and raise some fundamental questions. (The book is as short as it is, incidentally, because it was originally designed for a series of brief introductory studies.) The danger with books of .